Saturday, January 9, 2016

Blogger navbar kya hai kaise remove kare ise template se

Is article ka title hai Blogger Navbar kya hai kaise remove kare. Is article me me aapko yahi batane ja raha hu ki navbar kya hota hai and blogger navbar kaise remove kare.

Blogger navbar kya hota hai?

Ye ek bar hai jo sabhi blogger blog me top par hota hai.
Kya Kya hota hai isme?
Search box - Isme ek search box hota hai jo seedhe aapke blog ke data base se juda hota hai and jo bhi search karo bilkul sahi information deta hai.
Social buttons - Search box ke baad social buttons hote hai jsime Google Plus ka button show hota hai and dusre social buttons More link ke andar hote hai.
Next Blog - Is par click karne ke baad aap dusre blog par aa jaenge jo kisi ka bhi ho sakta hai.
Email ID - Agar aap login hai to aapko apki email id show hogi nahi to Create Blog likha hoga.
New Post & Design - Ye dono link bhi tabhi show hongi jab aap login ho nahi to nahi dikhengi.
Sing In / Out - Sing in ya sing out aapko tab dikhega jab aap ya to login hoge ya logout.

Blogger Navbar ke kya profits hai?

Jaise ke mujhe laga ki koi khas profit nahi hai ise lagane me kyunki isse aapke page views bhi nahi bad sakte. Ha! search box jaroor accha hai.However, Navbar agar laga bhi rahe to koi loss nahi hai.
But blogging karne wale blogger navbar ko remove kyu karte hai?
Navbar remove karne ka reson sirf ek hi hota hai and wo hai design. Kyunki iska look koi khaas accha nahi hai and profit bhi koi khaas acche nahi hai. isliye ise blogger navbar ko remove kar dete hai.

Blogger template se navbar ko kasie remove kare?

Kuch simple steps ke saath bhi navbar blogger template se remove ho jaega.
Step 1. http://www.blogger.com/home/ par click kare and apne blog par login kare phir Layout par jaye jaha aapko Navbar dikhega thik neeche ki image jaise.
navbar remove
Step 2. upar image ke according aap Layout par jane ke baad Navbar ke edit link par click karna hai. Phir neeche image ke according off par click karke save kardijiye.
navbar removee

Sirf two steps me aap blogger navbar ko templates se remove kar sakte hai ya close or delete kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment