Sunday, January 10, 2016

Sitemap Kaise banaye & submit kare Google Search Console me

Aaj ke article ka title hai jisme 2 question hai. First hai - "Sitemap kaise banaye" and second hai "Sitemap kaise submit kare Google search console me".

In dono question ke answer apko isi article me mil jayenge but in Hindi.

Sitemap Kya hai? | What is sitemap?

Sitemap ek file hai jaha aapki website ke saare webpages hote hai. Jarurai nahi ki sitemap sirf article wali site's ke hi ho? Sitemap kisi bhi tarah ki website ke ho sakte hai jaise, ecommerce website, online service provider, education related website ya blogging related koi blog etc.

Aap agar chahe to is link par click karke Sitemap ki jankari le sakte hai jo official hai. URL - https://support.google.com/webmasters/answer/156184

Ye always XML extension ke saath hoti hai jisme CSS mostly nahi hota Blogger Sitemap ke saath to bilkul nahi hota.
HindiTreasure.blogspot.com ka Sitemap XML URL - http://hinditreasure.blogspot.com/sitemap.xml

Aap chahe to upar di hui link par click kareke meri site ya blog ka sitemap dekh sakte hai.
Agar aap iske sitemap ko dekhenge to payenge ki page poora ka poora XML version me hai and sabhi post ke url text form me likhe hai.

Agar aap thik se notice karenge to usme aapko sabhi article ki last modified date with time bhi show hogi.

Ye hai Blogger sitemap.

Sitemap Kyu submit karna chaiye?

Sitemap ko submit nahi karenge to apki website ya blog ki rank par koi effect nhi hoga aur apki website ko kisi bhi tarah ki problem nhi hogi. But Sitemap ko Google Search engine me submit karne ke baad aapki site rank par effect hoga jisse apki website par visit bhi bad sakti hai and crawler apki website ko behtar tarike se crawl karega jisse apki search result me improvement ho sakta hai.

Sitemap kaise submit kare search console me

Agar aapka blog Blogger par hai and aap apne blogger blog ka sitemap dekhna chahte hai to bus apne blog ka url enter kare ya apne url ke end me sitemap.xml type karke enter kar de aapki website or blog ka sitemap aa jayega agar blogger par aapka blog hai to. for ex http://hinditreasure.blogspot.com/sitemap.xml

Sitemap ko Google Search console me kaise add kare ki steps.

Step 1. Sabse pehle is link par jaye and login kare. https://www.google.com/webmasters/tools/home/ phir apne blog par jaye and sitemap par click kare. (image ko acche se dekhne ke liye image par click kare)
Sitemap - 1
Step 2. Red colour ke box me aap no Sitemap par click karke sitemap add kar sakte hai. reference ke liye aap neeche ki bhi image dekhe.

Neeche ki image ke according aap Add/test Sitemap par click kare jo red colour me hai.
phir apne URL ke baad sitemap.xml type kare. Uske baad neeche blue colour me hai submit sitemap par click kare and apna sitemap submit kare.
Sitemap - 2
Agar aap sitemap submit karne se pehle test karna chahte hai to kar sakte hai and sabuch working hai to Submit kare.

Sitemap submit karne ke baad wo pending me chala jayega and kuch time baad indexed ho jayega and neeche jaise image show hogi.
sitemap-submit-kaise-kare
Google search console me sitemap submit karna bohot easy hai. Jise aap kabhi bhi submit kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment