Sunday, January 17, 2016

Blogger me page kaise banaye ki steps

Blogger ek bohot hi easy website hai jaha aap aur mai free me koi bhi website host kar sakte hai. Is article par aapko pata chalega ki kaise page banate hai.


Blogger me page kyu banana chahiye?

blogger logoBlogger me post and page ka work different hota hai. Google Search engine me dono index hote hai but post me hum article likhte hai and page me hum apne blog ke bare me, privacy policy page ya contact page banate hai.

Blogger page kaise banaye ki steps?

Step 1. Apne blog par login kare phir Pages par click kare and New Page par click kare bilkul neeche image ke according.
blogger page kaise banaye
Step 2. New page par click karte hi aap page ka title type kare, Search description enter kare page related query se. Search description ke just neeche Option me jakar Comments ke settings bhi kar sakte hai (chahe to).

Isme aapko permalink ka option nahi hoga and permalink automatic ban jayega isliye soch samajhkar title de kyunki jo title aap type karenge to aapka permalink bhi wahi hoga.
about page blogger

Example ke liye, Agar aap chahte hai about page banana to title me sirf about ya about us type kare and publish kare. Aap dekhenge ki apka blog ka about us page ki permalink kuch aisi hogi.
http://hinditreasure.blogspot.in/p/about-us.html

Upar di hui 2 steps ke help se aap about us, contact us, privacy policy, disclaimer page bana sakte hai blogger par.

No comments:

Post a Comment